اردو हिंदी
Yun hujra-e-KHayal mein baiTha hua hun main | Shaahi Shayari
yun hujra-e-KHayal mein baiTha hua hun main

Ghazal

Yun hujra-e-KHayal mein baiTha hua hun main

Farooq muztar

;

yun hujra-e-KHayal mein baiTha hua hun main
goya mera wajud nahin wahima hun mein

phaila hai jab se ghar mein samundar sukut ka
be-chaargi ki chhat pe khaDa chiKHta hun main

dekho meri jabin pe mere ahd ke nuqush
rakkho mujhe sambhaal ke ek aaina hun main

ab tak shab-e-qayam ka ek silsila bhi tha
ab aaftab ban ke safar par chala hun main

KHud se to ru-shanas abhi tak na ho saka
ye ittifaq hai ki jo tum se mila hun main