اردو हिंदी
Yun hi har baat pe hansne ka bahana aae | Shaahi Shayari
yun hi har baat pe hansne ka bahana aae

Ghazal

Yun hi har baat pe hansne ka bahana aae

Ajay Sahaab

;

yun hi har baat pe hansne ka bahana aae
phir wo masum sa bachpan ka zamana aae

kash lauTen mere papa bhi khilaune le kar
kash phir se mere hathon mein KHazana aae

kash duniya ki bhi fitrat ho meri man jaisi
jab main bin baat ke ruThun to manana aae

hum ko qudrat hi sikha deti hai kitni baaten
kash ustadon ko qudrat sa paDhana aae

aah sahsa kabhi school se chhuTTi jo mile
chiKH kar bachchon ka wo shor machana aae

aaj bachpan kahin baston mein hi uljha hai 'sahab'
phir wo titli ko pakaDna wo uDana aae