yun ehtimam-e-radd-e-sahar kar diya gaya
har raushni ko shahr-badar kar diya gaya
apne gharon ke sukh se bhi ru-kash dikhai den
logon ko mubtala-e-safar kar diya gaya
jina har ek ke liye mumkin nahin raha
jine ko ek kar-e-hunar kar diya gaya
chehron se rang hath se aaine chhin kar
be-chehragi ko raKHt-e-nazar kar diya gaya
ab jism-o-jaan pe haqq-e-tasarruf talab kare
zalim ko is qadar to niDar kar diya gaya
darpai the har shajar ke taffun-shiar log
mahrum KHushbuon se nagar kar diya gaya
wo qaht-e-gham paDa hai ki ek Tis ke liye
ahl-e-karam ka dast-e-nigar kar diya gaya
Ghazal
Yun ehtimam-e-radd-e-sahar kar diya gaya
Sattar Syed