yun chup hai shahr jaise ki kuchh bhi hua na ho
shayad ab is ke baad koi hadisa na ho
kanpa hai barg barg sa jo be-sabab abhi
ye jism aandhiyon ka koi rasta na ho
main thak chuka hun dasht-e-masafat ki dhup mein
koi sarab rah mari dekhta na ho
tughyan-e-bewafai mein Duba rahun main kash
mere nasib mein tujhe ab dekhna na ho
ubhri hai KHushk patton mein ek chiKH dur tak
be-rahm koi panw unhen raundta na ho
sham-e-taraf jalane se pahle hi dekh lo
ye dasht-e-na-muradi-e-dil ka diya na ho
jo shaKHs kal mila tha 'musawwir' ba-tarz-e-KHas
us ki hi shakl ka wo koi dusra na ho
Ghazal
Yun chup hai shahr jaise ki kuchh bhi hua na ho
Musavvir Sabzwari