yun bhaTakne mein ki hai basar zindagi
jaise aa jaegi rah par zindagi
ye karo wo nahin wo karo ye nahin
Tokti hi rahi umr bhar zindagi
is taraf chal diye to kisi ne kaha
us taraf aaiye hai udhar zindagi
is taraf jaiye us taraf jaiye
kis taraf jaiye hai kidhar zindagi
taulti bhi rahi Dolti bhi rahi
kuchh idhar zindagi kuchh udhar zindagi
kuchh pata to chale kuchh KHabar to mile
hum kidhar ja rahe hain kidhar zindagi
hum nahin jaante ye nahin jaante
hai KHabar-dar-KHabar be-KHabar zindagi
hai kahin saikDon ekDon ka mahal
aur kahin ek kamre ka ghar zindagi
Ghazal
Yun bhaTakne mein ki hai basar zindagi
Imran Shamshad