اردو हिंदी
Yun bagh koi humne ujaDta nahin dekha | Shaahi Shayari
yun bagh koi humne ujaDta nahin dekha

Ghazal

Yun bagh koi humne ujaDta nahin dekha

Yashpal Gupta

;

yun bagh koi hum ne ujaDta nahin dekha
muddat se kisi phul ka chehra nahin dekha

is shahr mein shayad koi dil wala nahin hai
jo husn kahin banta sanwarta nahin dekha

sayyaad se gul karte rahe jaan ka sauda
mali ne lahu ka koi dariya nahin dekha

jo sukh ke ujale mein tha parchhain hamari
ab dukh ke andhere mein wo saya nahin dekha

idrak ki sarhad pe kai bar gaya hun
jo had se guzar jata wo lamha nahin dekha

KHuddari-e-insan ko aman kaise milegi
muddat se zamane mein masiha nahin dekha