yun ashk baraste hain mere dida-e-tar se
jis tarah se sawan ki ghaTa jhum ke barse
han ashk-e-nadamat jo gire dida-e-tar se
wo daman-e-isyan pe nazar aae guhar se
mahaul to badla hai meri jehd ne akasr
han main nahin badla kabhi mahaul ke Dar se
duniya na kahin mujh ko nigahon se gira de
ab itna gira do na mujhe apni nazar se
dekhe jo koi sada-mizaji to ye samjhe
waqif hi nahin aap kisi aib-o-hunar se
jis rah mein guzri hai mere sar pe qayamat
sau bar to guzra hun usi rahguzar se
is waqt jo guzri hai na puchho use 'wasfi'
Takrai hai jab un ki nazar meri nazar se
Ghazal
Yun ashk baraste hain mere dida-e-tar se
Abdul Rahman Khan Wasifi Bahraichi