ye zindagi to musalsal sawal karti hai
magar jawab wahi KHamushi Thaharti hai
tere KHayal ke sahil se dekhti hun main
teri hi shakl har ek mauj se ubharti hai
kisi raqib se milti hai jab KHabar teri
tujhe pata hai mere dil pe kya guzarti hai
gali gali mein milenge ghazal ke diwane
magar ye shoKH bahut kam kisi pe marti hai
main sahar mein teri baaton ke khoi rahti hun
kisi ki baat mere dil mein kab utarti hai
zara si der ko rukta to hai safar lekin
kisi ke jaane se kab zindagi Thaharti hai
ganwa ke KHud ko bhi paya na main ne kuchh 'raKHshan'
kabhi kabhi yahi la-hasili akharti hai

Ghazal
Ye zindagi to musalsal sawal karti hai
Rakhshan Hashmi