ye zaKHm zaKHm badan aur nam fazaon mein
bhaTak raha hun liye iztirab panw mein
ye be-lihaz nigahen ye ajnabi chehre
panap raha hai koi shahr jaise ganw mein
bacha ke maut se insan KHud ko rakh leta
jo ghunghru hote kahin hadson ke panw mein
ye ek rose hamara wajud Das lega
ugal rahe hain jo ye zahr hum hawaon mein
har ek pal mare hum phir bhi zindagi chahi
ghazab kashish rahi kam-baKHt ki adaon mein
wo ghar bana ke bahaaron ka lutf lete hain
jo tinka tinka jama karte hain KHizaon mein

Ghazal
Ye zaKHm zaKHm badan aur nam fazaon mein
Ram Awtar Gupta Muztar