ye ujala har ek shai ko chamka gaya
aaina dil ka kuchh aur dhundla gaya
aaj maghmum hai wo sar-e-aina
zulf uljhi to mera KHayal aa gaya
apni barbaadiyon ka mujhe gham nahin
gham ye hai kis tarah tujh se dekha gaya
itni fursat kahan thi ki hum sochte
ishq mein kya hua, kya mila, kya gaya
luT gaya johd-e-hasti mein ehsas bhi
zindagi ke liye hae kya kya gaya
jis ke honTon ke daman mein kuchh bhi na tha
jab uTha bazm se git barsa gaya

Ghazal
Ye ujala har ek shai ko chamka gaya
Mushtaq Naqvi