ye tum be-waqt kaise aaj aa nikle sabab kya hai
bulaya jab na aae ab ye aana be-talab kya hai
mohabbat ka asar phir dekhna marne to do mujh ko
wo mere sath zinda dafn ho jaen ajab kya hai
nigah-e-yar mil jati to hum shagird ho jate
zara ye sikh lete dil ke le lene ka Dhab kya hai
jo gham tum ne diya us par tasadduq saikDon KHushiyan
jo dukh tum se mile un ke muqabil mein tarab kya hai
samajhte the baDa sachcha musalman tum ko sab 'muztar'
magar tum to buton ko pujte ho ye ghazab kya hai

Ghazal
Ye tum be-waqt kaise aaj aa nikle sabab kya hai
Muztar Khairabadi