ye tere lams ka ehsas jawan-tar ho jae
ye tere qurb mein har sans jawan-tar ho jae
chah ek der se ek rah taka karti hai
aao pahle ki wahan ghas jawan-tar ho jae
hain kai chehre guzarte hue rah-e-dil se
dekhiye kaun sa almas jawan-tar ho jae
rasm-e-duniya ke salasil mein giraftari hai
mat Thaharna ki kahin phans jawan-tar ho jae
bazm-e-ulfat ki giraftari se kaise bach paen
kis ko malum ki kab aas jawan-tar ho jae
hum sanjoe hue rakkhe hain teri yaadon ko
waqt aae ki jo hai pas jawan-tar ho jae
us ki manzil ka pata kis ko mila hai ab tak
han wahi bedil-e-barlas jawan-tar ho jae
Ghazal
Ye tere lams ka ehsas jawan-tar ho jae
Akhlaq Ahmad Ahan