اردو हिंदी
Ye tera ishq kab ka aashna tha | Shaahi Shayari
ye tera ishq kab ka aashna tha

Ghazal

Ye tera ishq kab ka aashna tha

Meer Soz

;

ye tera ishq kab ka aashna tha
kahan ka jaan ko meri dhara tha

wo saat kaun si thi ya ilahi
ki jis saat do-chaar us se hua tha

main kash us waqt aanhken mund leta
ki mera dekhna mujh par bala tha

main apne hath apne dil ko khoya
KHudawanda main kyun aashiq hua tha

na tha us waqt juz allah koi
wale ye 'soz' pahlu mein khaDa tha