ye tanha raat ye gahri fazaen
use DhunDen ki us ko bhul jaen
KHayalon ki ghani KHamoshiyon mein
ghuli jati hain lafzon ki sadaen
ye raste rahrawon se bhagte hain
yahan chhup chhup ke chalti hain hawaen
ye pani KHamushi se bah raha hai
ise dekhen ki is mein Dub jaen
jo gham jalte hain sheron ki chita mein
unhen phir apne sine se lagaen
chalo aisa makan aabaad kar len
jahan logon ki aawazen na aaen
Ghazal
Ye tanha raat ye gahri fazaen
Ahmad Mushtaq