ye tan ghira hua chhoTe se ghar mein rahta hai
par apna man ki jo har dam safar mein rahta hai
dhanak ki tarah nikharta hai shab ko KHwabon mein
wahi jo din ko meri chashm-e-tar mein rahta hai
visal us ko likhun main ki hijr ka aaghaz
jo ek lamha musalsal nazar mein rahta hai
chalo wo hum nahin koi to hai zarur ki jo
sukun se saya-e-diwar-o-dar mein rahta hai
hai tang jis pe bahut wusat-e-zaban-o-bayan
wo harf ek nigah-e-muKHtasar mein rahta hai
Ghazal
Ye tan ghira hua chhoTe se ghar mein rahta hai
Akbar Ali Khan Arshi Zadah