ye suKHan jo meri zaban pe hai ye suKHan hai us ka kaha hua
ye bayan jo hai mere nam se ye bayan hai us ka likha hua
wahi maili maili si chandni wahi dhundli dhundli si raushni
ye charagh koi charagh hai na jala hua na bujha hua
wahi ek yaad kiran kiran meri zindagi mein hai zau-fagan
wahi ek chehra chaman chaman sar-e-dasht-e-jaan hai khila hua
sar-e-rah kuchh na pata chala wo kahan gaya wo kidhar gaya
kahin naqsh-e-pa tha bana hua kahin naqsh-e-pa tha miTa hua
karun doston ko main nazr kya mere pas dam-o-diram kahan
wo jo dushmanon ka hisab tha wo to naqd-e-jaan se ada hua
na kisi ki yaad ka naqsh hai na kisi ke ruKH ka ye aks hai
ye na koi harf na lafz hai sar-e-KHak kya hai likha hua
mujhe 'mohsin' is ka gila nahin mujhe mal-o-zar jo mila nahin
jo hunar suKHan ka mujhe mila wo kahan sabhi ko ata hua
Ghazal
Ye suKHan jo meri zaban pe hai ye suKHan hai us ka kaha hua
Mohsin Zaidi

