ye subh-o-sham meri hai na saz-o-raKHt mera
hai koi aur jo karta hai bandobast mera
dimagh-e-sair-e-nafas soz-o-saz-e-ranj-o-nishat
miyan-e-bim-o-raja hai ye bud-o-hast mera
mujhe hai zarra-e-KHaki bhi matla-e-gardun
buland-bin hai KHayal-e-buland-o-past mera
mere fasane mein yazdan bhi ahrman bhi magar
wo DhunDhta raha unwan-e-sarguzasht mera
ye laDkhaDate sitare ye ju-e-mast-e-KHiram
bikhar raha hai KHayal-e-junun-parast mera
mere nadim-e-dil-o-jaan pe khusrawi taslim
shahi asa-e-dil-ara ki taj-o-taKHt mera
falak-numa tha jamal-e-ghazal ram-KHurda
usi ke sath gaya aasman-e-baKHt mera
na jaane kyun use sach nagawar guzra hai
ki dil-nawaz tha lahja na tha karaKHt mera
Ghazal
Ye subh-o-sham meri hai na saz-o-raKHt mera
Syed Amin Ashraf