اردو हिंदी
Ye soch kar main ruka tha ki tu pukarega | Shaahi Shayari
ye soch kar main ruka tha ki tu pukarega

Ghazal

Ye soch kar main ruka tha ki tu pukarega

Rashid Anwar Rashid

;

ye soch kar main ruka tha ki tu pukarega
kise KHabar thi khanDar chaar-su pukarega

kabhi to shaKH-e-talluq mein phul aaenge
kabhi to sard badan ko lahu pukarega

main ek pal ke liye bhi agar hua ojhal
mera junun mujhe ku-ba-ku pukarega

zamin us ke liye tang hoti jaegi
KHuda-e-ishq ko jo be-wuzu pukarega

kisi tarah bhi ishaaron se mutmain na hua
shuur-e-zat tujhe ru-ba-ru pukarega