اردو हिंदी
Ye sitam ek KHwahish-e-mauhum par | Shaahi Shayari
ye sitam ek KHwahish-e-mauhum par

Ghazal

Ye sitam ek KHwahish-e-mauhum par

Akbar Haidri

;

ye sitam ek KHwahish-e-mauhum par
lutf farma KHatir-e-maghmum par

ai masarrat mere gham-KHane se dur
ye girani aur mere maqsum par

pursish-e-haalat-e-gham se darguzar
rahm farma ab dil-e-marhum par

banda-parwar sirf itni arz thi
farz kuchh KHadim ke hain maKHdum par

sabr karti hi rahi be-chaargi
zulm hota hi raha mazlum par

kya mubassir dida-e-KHun-bar tha
tabsira karta raha maqsum par

ek tabassum tha jawab-e-arzu
wusaten qurban huin mafhum par

ibtida-e-gham ki dur-andeshiyan
shad hon anjam-e-na-malum par

aaj tak 'akbar' hun main sabit-qadam
jada-e-KHuddari-e-mauhum par