ye sitam aur ki hum phul kahen KHaron ko
is se to aag hi lag jae saman-zaron ko
hai abas fikr-e-talafi tujhe ai jaan-e-wafa
dhun hai ab aur hi kuchh tere talab-garon ko
tan-e-tanha hi guzari hain andheri raaten
hum ne ghabra ke pukara na kabhi taron ko
na-gahan phuT paDe raushniyon ke jharne
ek jhonka hi uDa le gaya andhiyaron ko
sare is daur ki munh bolti taswiren hain
koi dekhe mere diwan ke kirdaron ko
nala-e-aKHir-e-shab kis ko sunaun 'nasir'
nind pyari hai mere daur ke fankaron ko
Ghazal
Ye sitam aur ki hum phul kahen Khaaron ko
Nasir Kazmi