اردو हिंदी
Ye shoale aazmana jaante hain | Shaahi Shayari
ye shoale aazmana jaante hain

Ghazal

Ye shoale aazmana jaante hain

Ambareen Haseeb ambar

;

ye shoale aazmana jaante hain
so hum daman bachana jaante hain

talluq jo bhi rakkho soch lena
ki hum rishta nibhana jaante hain

khanakti nuqrai dilkash hansi mein
hum apna gham chhupana jaante hain

bulana hi nahin paDta hai 'amabar'
ye gham apna Thikana jaante hain