ye sanam riwayat-o-naql ke hubal-o-manat se kam nahin
tera fikr waiz-e-haq-nawa kisi somnat se kam nahin
kahin barq chamke main jal uThun koi tara TuTe main ro paDun
ye dil-e-sitam-zada ham-nashin dil-e-kaenat se kam nahin
kahin rang-o-nur-e-jamal hai kahin bim-o-fikr-e-maal hai
kahin sham ghairat-e-subh hai kahin din bhi raat se kam nahin
jise kahiye raqs-e-sharar-e-gham wo agar ho shamil-e-gham to phir
gham-e-dil ho ya gham-e-zindagi gham-e-kaenat se kam nahin
ye surur 'aKHtar'-e-dil-zada rajaz-e-bahaar-o-shabab hai
ye buland hoti hui fughan alam-e-hayat se kam nahin
Ghazal
Ye sanam riwayat-o-naql ke hubal-o-manat se kam nahin
Akhtar Ansari