ye ruke ruke se aansu ye dabi dabi si aahen
yunhi kab talak KHudaya gham-e-zindagi nibahen
kahin zulmaton mein ghir kar hai talash-e-dasht-e-rahbar
kahin jagmaga uThi hain mere naqsh-e-pa se rahen
tere KHanuman-KHarabon ka chaman koi na sahra
ye jahan bhi baiTh jaen wahin in ki bargahen
kabhi jada-e-talab se jo phira hun dil-shikasta
teri aarzu ne hans kar wahin Dal di hain banhen
mere ahd mein nahin hai ye nishan-e-sar-bulandi
ye range hue amame ye jhuki jhuki kulahen

Ghazal
Ye ruke ruke se aansu ye dabi dabi si aahen
Majrooh Sultanpuri