ye raaz us ne chhupaya hai KHush-bayani se
ki mera zikr bhi ghaeb hai ab kahani se
mein KHwahishon ke namak ka hun Dher mat puchho
jo mera KHauf hai jazbon ke bahte pani se
ghurur toDna main chahta hun dariya ka
badal de tu meri luknat ko ab rawani se
suKHan mein kuchh nahin eajaz ki tamanna hai
so arz karne lage hum bhi be-zabani se
main hira to nahin poshida koele mein kahin
kabhi kabhi to lage Dar bhi be-nishani se
pahaD jaise dinon ko to kaT lun lekin
nikal na paun main ek raat ki girani se
jo kaam jabr ki aandhi bhi kar nahin pati
wo kaam hota hai KHamosh mehrbani se
maza liya gaya aawargi ka KHub 'suhail'
malul main na hua apni be-makani se
Ghazal
Ye raaz usne chhupaya hai KHush-bayani se
Suhail Akhtar