ye qissa-e-muKHtasar nahin hai
tafsil-talab magar nahin hai
tum apne diye jalae rakkho
imkan-e-sahar agar nahin hai
tu mere dil mein jhankta hai
teri itni nazar nahin hai
jo log dikhai de rahe hain
kandhon pe kisi ke sar nahin hai
ab yun hi dekhta hun rasta
manzil pesh-e-nazar nahin hai
ye soch ke ki dua muaKHKHar
diwar mein koi dar nahin hai
be-ghar hun main 'imtiyaz' jab se
andesha-e-baam-o-dar nahin hai
Ghazal
Ye qissa-e-muKHtasar nahin hai
Imtiyaz-ul-haq Imtiyaz