اردو हिंदी
Ye nashist-e-gham hai isko koi rit to nibhao | Shaahi Shayari
ye nashist-e-gham hai isko koi rit to nibhao

Ghazal

Ye nashist-e-gham hai isko koi rit to nibhao

Kanti Mohan Soz

;

ye nashist-e-gham hai is ki koi rit to nibhao
main ghazal suna raha hun mujhe chhoD kar na jao

shab-e-tar ka fasana kabhi muKHtasar bhi hoga
koi shama to jalao koi jam to uThao

ye ghurur-e-tegh-e-qatil kabhi sar-nigun bhi hoga
sar-e-bazm choT kha kar sar-e-rah muskurao

tumhein sar-buland pa kar chali jae sar jhuka kar
kabhi marg-e-na-gahan se zara yun bhi pesh aao

zara dekho gardanon par sar-e-sham jhuk chale hain
ye kanwal hain kitne pyare inhen dar par sajao

use khinch lo palang se wo jo so ke thak gaya hai
ye jo thak ke so gaya hai use pyar se jagao

raha sar hamesha tane sahe hans ke taziyane
wo gurez-pa hua kyun koi 'soz' ko manao