ye nahin ki wo karam parwari karta hi nahin
dil wo TuTa hua bartan hai ki bharta hi nahin
ek uljhan hai ki baDhti hi chali jati hai
ek tamasha hai ki aankhon se utarta hi nahin
ek tere hijr ki miad ki kaTe na kaTe
ek tere wasl ka lamha ki Thaharta hi nahin
dosto lao koi kashti-e-nuh-e-ummid
ab ke pani wo chaDha hai ki utarta hi nahin
ashk-e-KHun-e-dil-e-wahshi dabe panw wala
ek musafir hai ki palkon se guzarta hi nahin
umr-bhar dete rahe hain tujhe tawan-e-wafa
sud-dar-sud tera qarz utarta hi nahin
Ghazal
Ye nahin ki wo karam parwari karta hi nahin
Shah Nawaz Zaidi