اردو हिंदी
Ye mana us taraf rasta na jae | Shaahi Shayari
ye mana us taraf rasta na jae

Ghazal

Ye mana us taraf rasta na jae

Madan Mohan Danish

;

ye mana us taraf rasta na jae
magar phir bhi mujhe roka na jae

badal sakti hai ruKH taswir apna
kuchh itne ghaur se dekha na jae

ulajhne ke liye sau uljhanen hain
bas apne aap se uljha na jae

irada wapsi ka ho agar to
bahut gahrai mein utra na jae

hamari arz bas itni hai 'danish'
udasi ka sabab puchha na jae