ye kya ki mere yaqin mein zara guman bhi hai
mujhe hai shak ki hai jo kuchh yahan wahan bhi hai
chamak rahi hai jo aaindagan ki rahguzar
kuchh is mein raushni-e-gard-e-raftagan bhi hai
tum is qadar bhi KHaraba na jaano dil ko mere
kisi faqir ka is dasht mein makan bhi hai
Thahar gai hai kohar si faza-e-mubham mein
sahar ki dhund bhi hai raat ka dhuan bhi hai
hamari KHak se zebaish-e-adam hi nahin
hamari KHak se rangin ye gulistan bhi hai
jis aaine mein wo qad apna dekhta hai 'shafaq'
us aaine mein to kotah aasman bhi hai

Ghazal
Ye kya ki mere yaqin mein zara guman bhi hai
Shafaq Sopori