ye kya haalat bana rakkhi hai ye aasar kaise hain
bahut achchha-bhala chhoDa tha ab bimar kaise
wo mujh se puchhne aai hai kuchh likkha nahin mujh par
main us ko kaise samjhaun mere ashaar kaise hain
meri sochen hain kaisi kaun in sochon ka markaz hai
jo mere zehn mein palte hain wo afkar kaise hain
mere dil ka alawon aaj tak dekha nahin jis ne
wo kya jaane ki shoale surat-e-izhaar kaise hain
ye mantiq kaun samjhega ki yaKH-kamre ki ThanDak mein
mere alfaz ke malbus shoala-bar kaise hain
zara si ek farmaish bhi puri kar nahin sakte
mohabbat karne wale log bhi lachaar kaise hain
judai kis tarah bartaw hum logon se karti hai
mizajan ham-suKHnawar be-dil-o-be-zar kaise hain
Ghazal
Ye kya haalat bana rakkhi hai ye aasar kaise hain
Aitbar Sajid