ye kis se aaj barham ho gai hai
ki zulf-e-yar pur-KHam ho gai hai
Tapak paDte hain waqt-e-subh aansu
ye aadat misl-e-shabnam ho gai hai
ba-zahir garm hai bazar-e-ulfat
magar jins-e-wafa kam ho gai hai
zahe tasir-e-ku-e-KHak-e-jaanan
mere zaKHmon pe marham ho gai hai
bas ai dast-e-ajal kuchh rahm bhi kar
ki duniya bazm-e-matam ho gai hai
nahin KHauf-e-shab-e-hijran mujhe ab
meri gham-KHwar o hamdam ho gai hai
yahi haalat hai ek muddat se 'mahrum'
tabiat KHugar-e-gham ho gai hai
Ghazal
Ye kis se aaj barham ho gai hai
Tilok Chand Mahroom