ye kis ne kah diya tujh se ki sahil chahta hun main
samundar hun samundar ko muqabil chahta hun main
wo ek lamha jo tere qurb ki KHushbu se hai raushan
ab is lamhe ko paband-e-salasil chahta hun main
wo chingari jo hai mashshaq fann-e-shoala-sazi mein
use raushan tah-e-KHakistar-e-dil chahta hun main
bahut be-zar hai umr-e-rawan sahra-nawardi se
pae-kar-e-junun taza mashaghil chahta hun main
na ye KHwahish ki wo miTTi mein meri jazb ho jae
na KHud ko dastan mein us ki shamil chahta hun main
ajab bismil hai 'ishrat' apne qatil se ye kahta hai
sar-e-mahfil tujhe ai jaan-e-mahfil chahta hun main
Ghazal
Ye kis ne kah diya tujhse ki sahil chahta hun main
Ishrat Zafar