اردو हिंदी
Ye kis ke KHauf ka galiyon mein zahr phail gaya | Shaahi Shayari
ye kis ke KHauf ka galiyon mein zahr phail gaya

Ghazal

Ye kis ke KHauf ka galiyon mein zahr phail gaya

Abbas Tabish

;

ye kis ke KHauf ka galiyon mein zahr phail gaya
ki ek nash ke manind shahr phail gaya

nahin giraft mein ta-hadd-e-KHak ka manzar
simaT gain meri banhen ki dahr phail gaya

tujhe qarib samajhte the ghar mein baiThe hue
teri talash mein nikle to shahr phail gaya

main jis taraf bhi chala jaun jaan se jaun
bichhaD ke tujh se to lagta hai dahr phail gaya

makan makan se nikla ki jaise baat se baat
misal-e-qissa-e-hijran ye shahr phail gaya

bacha na koi teri dhup ki tamazat se
tera jamal ba-andaz-e-qahr phail gaya

ye mauj mauj bani kis ki shakl si 'tabish'
ye kaun Dub ke bhi lahr lahr phail gaya