ye kis ke husn ki jalwagari hai
jahan tak dekhta hun raushni hai
agar hote nahin hassas patthar
teri aankhon mein ye kaisi nami hai
yaqin uTh jae apne dast-o-pa se
usi ka nam logo KHud-kushi hai
agar lamhon ki qimat jaan jaen
har ek lamhe mein poshida sadi hai
tujhe bhi munh ke bal girna paDega
abhi to sar se Topi hi giri hai
talluq tujh se rakh kar itna samjhe
hamari sanp se bhi dosti hai
Ghazal
Ye kis ke husn ki jalwagari hai
Saeed Akhtar