ye kaisi aag barasti hai aasmanon se
parinde lauT ke aane lage uDanon se
koi to DhunD ke mujh ko kahin se le aae
ki KHud ko dekha nahin hai bahut zamanon se
palak jhapakte mein mere uDan bharte hi
hazaron tir nikal aaenge kamanon se
hui hain dair-o-haram mein ye sazishen kaisi
dhuan sa uThne laga shahr ke makanon se
shikar karna tha jin ko shikar kar ke gae
shikariyo utar aao tum ab machanon se
riwayaton ko kahan tak uThae ghumoge
ye bojh utar do 'pashi' tum apne shanon se
Ghazal
Ye kaisi aag barasti hai aasmanon se
Kumar Pashi