اردو हिंदी
Ye jo tanhai mili aankh mein dharne ke liye | Shaahi Shayari
ye jo tanhai mili aankh mein dharne ke liye

Ghazal

Ye jo tanhai mili aankh mein dharne ke liye

Javed Shaheen

;

ye jo tanhai mili aankh mein dharne ke liye
is mein ek dasht bhi hai mere guzarne ke liye

jama karti hai mujhe raat bahut mushkil se
subh ko ghar se nikalte hi bikharne ke liye

panw se lipTi mili sari ki sari ye zamin
ye falak pura mila aankh mein dharne ke liye

aur phir karna paDa gosht ko naKHun se juda
ye zaruri tha kisi zaKHm ko bharne ke liye

thi wo ek tez hawa uncha mujhe le aai
ab zamin tang si lagti hai utarne ke liye

baat kaisi bhi ho pal bhar ki nadamat ke siwa
KHarch aata hai bhala kitna mukarne ke liye

aur phir aisa hua samne mere 'shahin'
jhuT ke panw nikal aae Thaharne ke liye