ye jo rah rah ke sar-e-dasht hawa chalti hai
kitni achchhi hai magar kitna bura chalti hai
ek aaseb taaqub mein laga rahta hai
main jo rukta hun to phir us ki sada chalti hai
hae wo sans ki rukti hai to kya rukti hai
hae wo aankh ki chalti hai to kya chalti hai
pesh-KHema hai kisi aur nai wahshat ka
ye jo itra ke abhi baad-e-saba chalti hai
tir chalte hain lagatar sawad-e-jaan mein
aur talwar koi ek juda chalti hai
bich dariya ke ajab jashn bapa hai yaro
sath kashti ke koi mauj-e-bala chalti hai
aaj kuchh aur hi manzar hai mere chaaron taraf
ghair-mahsus tariqe se hawa chalti hai
main ba-zahir to hun aasuda pa mere andar
dhime dhime se kahin aah-o-buka chalti hai
yun to bebak bana phirta hai wo yaron mein
us ki aaankhon mein ajab sharm-o-haya chalti hai
mere maula jo rahe sirf kaha tera rahe
mere honTon pe yahi ek dua chalti hai
Ghazal
Ye jo rah rah ke sar-e-dasht hawa chalti hai
Liaqat Jafri