ye jo insan KHuda ka hai shahkar
us ki qismat pe hai KHuda ki mar
marg-e-dushman ki aarzu hi sahi
dil se nikle kisi tarah to ghubar
nam badnam ho chuka hazrat
kijiye ab to jurm ka iqrar
hoga donon ka KHatma bil-KHair
ab tasadum mein hai na jit na haar
bik chuki jins-e-nadir-o-nayab
ho chuki KHatm garmi-e-bazar
ittifaqi hai do dilon ka milap
kaun sunta hai warna kis ki pukar
husn walon ka puchhna kya hai
jitne dilkash hain utne dil-azar
jina marna hai ban paDe ki baat
na ye aasan aur na wo dushwar
kis ko parwa ki in pe kya guzri
zindagi se jo ho gae bezar
multafit KHud na ho agar koi
aah be-sud aur fughan be-kar
pur-sukun nind chahte ho 'nazir'
sath lana tha qismat-e-bedar

Ghazal
Ye jo insan KHuda ka hai shahkar
Nazeer Siddiqui