ye jo hum atlas o kim-KHwab liye phirte hain
azmat-e-rafta ke aadab liye phirte hain
dekh kar un ko laraz jati hai har mauj-e-bala
apni kashti mein jo girdab liye phirte hain
tir kitne hain lain aur tere tarkash mein
dekh hum sina-e-be-tab liye phirte hain
dekhna un ko bhi Das legi kaDe waqt ki dhup
wo jo kuchh KHwahish-e-shadab liye phirte hain
apni tahzib ka ab koi talabgar nahin
be-sabab hum par-e-surKHab liye phirte hain
mera bhi kasa-e-tabir hai KHali KHali
wo bhi aankhon mein kai KHwab liye phirte hain
tirgi shahr-e-ghazalan se nikalti hi nahin
lakh wo surat-e-mahtab liye phirte hain
ye to sadqa hai husain-ibn-e-ali ka 'aKHtar'
tishnagi hum jo sar-e-ab liye phirte hain
Ghazal
Ye jo hum atlas o kim-KHwab liye phirte hain
Sultan Akhtar