ye jal jate hain lab tak aah bhi aane nahin dete
madad ke waste aawaz parwane nahin dete
kahin par zikr un ka bhi na aa jae isi Dar se
wo rudad-e-mohabbat hum ko dohrane nahin dete
mere bachche bhi meri hi tarah KHuddar hain shayad
KHayal-e-muflisi mujh ko kabhi aane nahin dete
chale ho mai-kasho pine magar tum hosh mat khona
kisi ko rasta ghar ka ye maiKHane nahin dete
wo jis ke husn ki tariKH tum ne KHud hi likkhi thi
wahi taswir kyun duniya ko dikhlane nahin dete
'wasim' ansar ne aise sitam Dhae muhajir par
ki hum hijrat ka lab par nam bhi aane nahin dete

Ghazal
Ye jal jate hain lab tak aah bhi aane nahin dete
Waseem Minai