اردو हिंदी
Ye jaan-gudaz safar dam-e-KHwab ho na kahin | Shaahi Shayari
ye jaan-gudaz safar dam-e-KHwab ho na kahin

Ghazal

Ye jaan-gudaz safar dam-e-KHwab ho na kahin

Javed Shaheen

;

ye jaan-gudaz safar dam-e-KHwab ho na kahin
rawan hai jis mein safina sarab ho na kahin

yun hi utarta na ja sard gahre pani mein
chamakta hai jo bahut sehr-e-ab ho na kahin

khaDa jo jhankta hai kab se garm kamron mein
gali mein ThiThura hua mahtab ho na kahin

hawa ye kaun si chalti hai aar-par mere
khula hua kisi KHwahish ka bab ho na kahin

dilon pe kyun nahin kartin asar teri baaten
zamin to Thik hai pani KHarab ho na kahin

ghubar se bhari bojhal faza hai dil pe muhit
garaj raha hai jo sar mein sahab ho na kahin

sajae phirta hai wo jis ko coat par 'shahin'
mere hi KHun ka mahakta gulab ho na kahin