ye hukm hai ki andhere ko raushni samjho
mile nasheb to koh-o-daman ki baat karo
nahin hai mai na sahi chashm-e-iltifat to hai
nai hai bazm tariq-e-kuhan ki baat karo
fareb-KHurda-e-manzil hain hum ko kya malum
ba-tarz-e-rahbari rahzan ki baat karo
KHizan ne aa ke kaha mere gham se kya hasil
jahan bahaar luTi us chaman ki baat karo
qadam qadam pe farozan hain aansuon ke charagh
unhen bujhao to subh-e-watan ki baat karo
bahaar aae to chup chap hi guzar jae
na rang-o-bu ki na sarw-o-saman ki baat karo
Ghazal
Ye hukm hai ki andhere ko raushni samjho
Zehra Nigaah