اردو हिंदी
Ye hausla tujhe mahtab-e-jaan hua kaise | Shaahi Shayari
ye hausla tujhe mahtab-e-jaan hua kaise

Ghazal

Ye hausla tujhe mahtab-e-jaan hua kaise

Kishwar Naheed

;

ye hausla tujhe mahtab-e-jaan hua kaise
ki KHud ko sae se minha kiya bata kaise

nazar to kya ki ye mina-e-dil bhi KHali hai
lagega shahr mein bazar-e-KHun-baha kaise

mujhe KHabar hai ki mausam nahin ye KHwahish ka
mere labon pe ye Thahra hai zaiqa kaise

KHudai nauha-kunan thi ki aaj mimbar pe
ye tujh ko aaya nazar kya mere siwa kaise

talluqat ke tawiz bhi gale mein nahin
malal dekhne aaya hai rasta kaise

qafas mein meri panahon ko dekh hairan tha
ki mere dil mein tha maqtal ka zaicha kaise

hawa se jaise charaghon ki lau bhaDakti hai
bahut dinon mein tujhe dekh ke hansa kaise