ye hasb-e-aql to koi nahin saman milne ka
magar duniya se le jawenge hum arman milne ka
ajab mushkil hai kya kahiye baghair-az-jaan dene ke
koi naqsha nazar aata nahin aasan milne ka
hamein to KHak mein ja kar bhi kya kya be-kali hogi
jab aa jawega us ghuncha-dahan se dhyan milne ka
kisi se milne aae the so yan bhi ho chale ek dam
kahe deta hun ye mujh par nahin ehsan milne ka
'nazir' ek umr hum us dil-ruba ke wasl ki KHatir
bahut roe bahut chiKHe pa kya imkan milne ka
hamari be-qarari iztirabi kuchh na kaam aai
wo KHud hi aa mila jab waqt aaya aan milne ka
Ghazal
Ye hasb-e-aql to koi nahin saman milne ka
Nazeer Akbarabadi