ye hum ko kaun si duniya ki dhun aawara rakhti hai
ki KHud sabit-qadam rah kar hamein sayyara rakhti hai
agar bujhne lagen hum to hawa-e-sham-e-tanhai
kisi mehrab mein ja kar hamein dobara rakhti hai
chalo hum dhup jaise log hi us ko nikal aaen
suna hai wo nadi tah mein koi mah-para rakhti hai
hamein kis kaam par mamur karti hai ye duniya bhi
ki tarsil-e-gham-e-dil ke liye harkara rakhti hai
kabhi sar phoDne deti nahin diwar se 'tabish'
ye kya diwangi hai jo hamein nakara rakhti hai
Ghazal
Ye hum ko kaun si duniya ki dhun aawara rakhti hai
Abbas Tabish