اردو हिंदी
Ye gham nahin ki KHushi mein bhi kuchh maza na raha | Shaahi Shayari
ye gham nahin ki KHushi mein bhi kuchh maza na raha

Ghazal

Ye gham nahin ki KHushi mein bhi kuchh maza na raha

Khurshid-ul-islam

;

ye gham nahin ki KHushi mein bhi kuchh maza na raha
hamein ye gham hai ki ab gham bhi jaan-faza na raha

wo KHwab tha ki jien dil ki aarzu ke liye
ye waqia hai ki marne ka hausla na raha

na koi yar na koi dayar kya kije
siwae sans ke ab koi silsila na raha

zaban kanTon ki pyasi rahe rahe na rahe
hamare panw mein jab koi aabla na raha

bas ek arz o sama rah gae hain le de ke
siwae un ke koi apna aashna na raha

hazar naqsh bana aur hazar naqsh miTa
kisi waraq pe haqiqat ka majra na raha