ye faisla to bahut ghair-munsifana laga
hamara sach bhi adalat ko baghiyana laga
hamare KHun se bhi us ki KHushbuen phuTin
hamein to qatl bhi kar ke wo bewafa na laga
lagai aag bhi is ehtimam se us ne
hamara jalta hua ghar nigar-KHana laga
hum itna ruh ki gahraiyon ke aadi the
ki Dubta hua dil Dubta hua na laga
ye KHam mal milega bahut hi kam damon
lahu ho jis ki zarurat wo karKHana laga
kisi bhi shaKHs se jab us ki KHairiyat puchhi
to apna lahja-e-pursish bhi taziyana laga
ye kaun log 'muzaffar' ki kar rahe the burai
mile hain hum bhi bahut hum ko wo bura na laga

Ghazal
Ye faisla to bahut ghair-munsifana laga
Muzaffar Warsi