ye dil-katha hai adakar tere bas mein nahin 
main KHun thukta kirdar tere bas mein nahin 
main manta hun ki tujh ko bhula nahin sakta 
mujhe bhulana bhi ai yar tere bas mein nahin 
hai roz bargah-e-dil mein aag par matam 
ye gham manana aza-dar tere bas mein nahin 
mere KHuda ho mujhe bhi bashaarat-e-baKHshish 
nahin ki mujh sa gunahgar tere bas mein nahin 
meri nazar mein hain uslub-e-naqd-o-fikr-o-suKHan 
mere wajud ka inkar tere bas mein nahin
        Ghazal
Ye dil-katha hai adakar tere bas mein nahin
Fartash Syed

