ye dil ab mujh se thoDi der sustane ko kahta hai
aur aanhken mund kar har baat dohrane ko kahta hai
hamari gumrahi ki baat hi chhoDo ki har jada
kahin tak KHud ko ab hum se hi pahunchane ko kahta hai
rahi ho wajh koi bhi alag to ho gae the sab
ye mujh mein kaun phir sab ko bula lane ko kahta hai
meri mushkil ko lekin koi jaane bhi to kya jaane
qadam jo bhi baDhata hun palaT aane ko kahta hai
raha yun umr bhar ja-e-aman pane ko sar-gardan
mera saya bhi ab mujh mein sama jaane ko kahta hai
bahut arsa hua mahsus tak hum ko kiye aisa
koi hum ko akela chhoD kar jaane ko kahta hai
kahin hum aaen jaen to zara khul jaen bhi KHud par
yahan har sans jaise KHud se katrane ko kahta hai
idhar sach hai akela chal raha hai khoya khoya sa
barabar chal raha hai jhuT apnane ko kahta hai
yahin hum ghar mein hote hain to phir kyun 'talKH' aisa hai
har ek lamha hamein jis tarah ghar aane ko kahta hai
Ghazal
Ye dil ab mujhse thoDi der sustane ko kahta hai
Manmohan Talkh