ye daur mohabbat ka lahu chaT raha hai
insan ka insan gala kaT raha hai
dekho na hamein aaj hiqarat ki nazar se
yaro kabhi apna bhi baDa ThaT raha hai
pahle bhi mayassar na tha mazdur ko chhappar
ab nam pe diwar ke ek TaT raha hai
dekha hai jise aap ne nafrat ki nazar se
nafrat ki KHalijon ko wahi paT raha hai
hairan hun kya ho gaya us shaKHs ko 'anwar'
jis Dal pe baiTha hai use kaT raha hai
Ghazal
Ye daur mohabbat ka lahu chaT raha hai
Anvar Kaifi